Bill Gates dunya ka ameer tareen shakhs hai jo musalsal kayi saal tak dunya ke ameer tareen logon mein pehle number par rahe. 2012 mein wo dusre number par rahe. Bill Gates microsoft ke malik hain. Unhon ne microsft ke zariye bepanah daulat kamai. Jitnay wo ameer hain itnay hi wo sakhi bhi hain. Bohat se adaray us ke tawan se chal rahe hain. Bill Gates 28 october 1955 ko Washington mein paida hue aur apni 2 behnon ke sath palay barhay
"Bill! akelay gum sum kyoun baithay ho.
tou wo jawab deta. "Maa! main soch raha hon, mujhe disturb na karo.
Itni choti si umar mein sochne ka kaam. hairat dar hairat. Us ki maa us jawab par hansnay lagti ke mere ghar mein ye Arastu kese paida ho gya. Jub un ka farigh waqt ka mashghala gum sum reh kar sochne ka hi ho gya tou un ki walida kafi preshan ho gyi aur unhain lay kar doctor ke paas gayien. Doctor ne un ka muaena kar ke kaha ke wo usay waqt par lay ayi hai, isay zehni bimari ka khadsha hai, main isay medicines de raha hon is se bache ki bimari jati rahe gi.
Aur phir yehi sochne wla bacha Computer aur IT ki dunya mein wo inqilab lay kar aya ke puri dunya us ke naam aur kaam se waqif ho gyi. Jab ke daulat ki us par wo barish hoi ke dunya ke ameer tareen afrad mein wo pehle number par shumar hone laga.
Bill Gates school mein aksar apne class fellows se larai jhagra aur shararatain karte thay jis ki shikayat ghar tak pohanchti thi. Jub ye shikayat musalsal anay lagien tou un ke walid ko sochne par majboor kar diya. Aik din wo usay aik mahir nafsiyat ke paas lay gye. Mahir nafsiyat ne un ka test liya aur bajaye ilaj karne ke usay books parhne ko deta raha. Aur unhain aisi warzishain karne ko kaha jis se us ka dimagh aur soch mein sehat mand tabdeeli aye.
Bill Gates munh mein sonay ka chamcha lay kar paida hue thay. Un ke dada jo aik qaumi bank mein naib sadar thay unhon ne aik trust qaim kiya tha jis ke liye lakhon dollars jama thay. Is bana par Bill Gates ke liye awayel umri mein computer ki taraf dhihan dena aur ye dilchasp mashghala ikhtiyar karna asan ho gya. Us waqt computer mehnga bohat tha dusra har jagah aam dastyab nahin tha. Jub internet mutarif hua tou unhin ne sub se pehle G.E type computer use kiya. Us internet ka taluq telephone se tha. Line itni dair tak busy rehti thi jub tak computer ka taluq internet se rehta tha. School 1 phone ko mehz us ke liye makhsoos nahin rakh sakta tha aur na hi us ka bhari bharkam bill ada kar sakta tha. Chunachay 1 admi switch ke paas khara rehta tha aur jub students internet se connection khatam karte thay tou wo swtich off kar deta tha
High school mein taleem ke doran un ki umar abhi 16 years thi tou unhon ne aik software banaya jisay unhon ne 4000 dollar mein sale kiya. Phir us ne apne aik dost ke sath aik choti si cmpany banai aur hukumat ke bohat se adaron ko traffic ke bare mein data system bana kar sale karne lagey. Us waqt un ki age sirf 17 years thi. Us data system se usay 20,000 dollars ki amdani hoi
18 years ki age mein unhon ne aik company ko payroll system bana kar diya. Jis ke zariye company usay 5000 workers ko barwaqt aur sahulat se salary ada karne mein kamyab ho gyi. Is system ke teht mulazmeen ka record rakhne aur dusri maloomat mehfooz karne mein bhi asani ho gyi
Bill Gates aur un ke friend ka rujhan computer games ki taraf bhi tha. Ibtida mein unhon ne aik special computer ki aisi games banai jis ke zariye puri dunya ko fatah kiya jata tha. Us mein behri jahaz, hawai jahaz, tank wagera ka istemal hota tha jabkeh background se aik commander ki awaz musalsal ati rehti jo ahkamat deta rehta tha.
Bill Gates ne jub high school ki taleem khatam ki tou us ne 1600 numbers mein se 1590 numbers hasil kiye thay. Ye aik record tha jo is se pehle kisi ne qaim nahin kiya tha